Toh agar aap wastav mei apne lips ko naturally Pink aur pouty banana chahti hai toh ye super effective natural tips jaroor aajmaye …
Hum yahan beetroot yani chukander ki baat ker rahe hai . Waise aapko pata hi hoga ki beetroot khoon ki tarah laal hota hai magar shyad aapko ye pata na ho ki beetroot aapke lips ko gorgeous pink bhi bana sakta hai saath hi saath aapke lip pigmentation ko bhi dur bhaga sakta hai . Aur ye puri tarah se natural, chemical free aur inexpensive hai . Ab aap jaanna chahti hongi ki ise Use kaise kare ? Toh niche diye gaye clear aur detail instructions ko paden : -
Aawashyak Jaroori samagri :
- Ek medium-size beetroot
- Coconut oil (Nariyal ka Tel)
- Mixer Grinder
- Strainer
- A small Bottle
Lips ko baby soft aur pinkish look dene ke liye niche diye gaye steps ko follow Karen :
Step 1:
Sabse pehle beetroot ko acchi tarah se pani se saaf kar le fir iske chhilke ko chhil le . Ab ise chhote-chhote tukro mei Cut kar le aur mixer grinder mei daal de au rise tab tak grind kre jab tak ki Chukander ka pani dikhai na dene lage .
Ek jaroori baat ka humesa khyal rakhe ki beetroot ko grind karte waqt ismei paani bilkul na milaye .
Step 2:
Savdhani se grind kiye hue beetroot ko puri tarah se nichod ker uska juice ek bottle mei nikal le . es baat khyal rakhe ki bottle puri tarah se saaf ho .
Step 3:
Ab ismei lagbhag ek teaspoon coconut oil (nariyal ka tel) dale . yadi aap natural & original lip color chahti hai toh aap ismei thoda jayada coconut oil mila sakti hai . aap coconut oil ki jagah honey ya beeswax bhi use kar sakti hai kyuki dono hi lips ko accha moisturize kerti hai .
Ab ek clean spoon ki help se mixture ko acchi tarah se milayen . fir container ko refrigerator mei rakh de and uske jamne ka wait Karen . kyuki ye lip tint puri tarah se natural hai aur bina kisi chemical ke banaya gaya hai , isliye aapko ise refrigerator mei hi rakhe taaki ye kharab na ho aur aap iska jayada dino tak upyog kar sake.
Ab aap jaise tint ko apne lips per lagayengi aapke lips natural soft pinkish dikhne lagega. Lekin kuch minutes ke baad jab ye oxidize ho jata hai , tab aapke lips gorgeous reddish dikhne lagega , chahe aapka skin tone kaisa bhi ho ye natural lip tint har tarah ke skin tone pe khoobsurat dikhta hai ! soft aur natural look ke ise Kam matra mei lagaye, aur lips ka colour dark karne ke liye iska itemaal jayada bhi kr sakti hai .
Lagatar istemaal se kuch hi dino ke ander aapko apne lips pink aur soft nazar aane lagenge.
So try this natural way and stay beautiful and safe.
Asha hai aapko ye article helpful laga hoga ? agar aap bhi lips ko colour karne ka koi natural tarika jaanti hai toh please use hamare saath share .
0 comments:
Post a Comment